Poerty Page.......






  


POETRY PAGE

SOME FAVOURITE POETRY , GHAZAL AND POEM

 

<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<POETRY>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>

  ~*~  TERE  BARAAT  HOGI  MERA  JANAZA  HOGA  ~*~ 

Tere Baraat Hogi Mera Janaza Hoga
chaar Admmi Teray Sath Hongay Char Admmi Meray Sath Hongay
Phool Tuj Per Be Hongay, Phool Muj Per Be Hongay
Tuj Per Dulhan Ka Jora Hoga ,Muj Per Kafan Ki Sajawat Hogi
Lali Tere Chehray Per hoge , Kuhsurat Mai Be Lag Rahahoonga
" Fark sirf Itna Hoga " Tum Kisi Ki Zinagi Mai Jarahe Hoge
Main Tumhari Zindagi Say Jarahoonga
Mera Naseeb Tere Kismat Say acha Hoga
Yaqeen Na Aaye Tu Apnay Aankoon Say dekoo
Mera Jenaza Tere Barat Say Acha Hoga
Meray Sanmay rukhsat Jo Tere Baraat Hoga
Os Lamhay Gul-Shamma Hayat Hoge
Pehloo Mai kisi Kay Meray Kainat Hoge

***********************************************************


 ~*~FRIEND SHIP IS COOL LOVE IS FAZOOL THATS IS MY ROOL ~*~

Mujhay raat gay tak bahir rahnay per rokti rahti thi
Main us ki baatain sun kar hansi say uchaal data tha
Kal say jaldi aaon ga kah ker taal data tha
Who mujhay deekh kar muskra dati thi
Aur pyaar say chapat laga dati thi
Main usay bohat satata tha bohat nakhray deekhata tha
Who her baar meray naaz uthati thi
Who meray sadkay wari jati thi
Raat kay kisi pahar bhi ghar jo aata us ko apna muntizar pata
Din raat us kay pyaar ki barsat hoti
Us ki duyain hameesha meray saath hotin
PER AB
Zindagi main who baat nahi hai
Kyu kah who meray saath nahi hai
Us kay pyaar bina dil ki zameen sookhi hai
Ek wohi mukhlis thi sari duniya rokhi hai
Ghar jab loton who nigahain dhoondta hon
Sama jaon jin main who bahain dhoondta hon
Un jaghoon ko deekhta rahta hon jahan beth kay who mera intzaar karti thi
Main ghantoon apna chahra deekhta hon jahan who mujhay pyaar karti thi
Teri dua kay bagair sarkon per nikal jata hon
Her kadam her rastay per thoker khata hon
Maan to meray liay khuda ki soorat hai
Tu lout aa kah mujhay abhi teri zaroorat hai
Main ghar jaldi lout aaon ga Khuda kasam tujhay kabhi na sataon ga
Teri khidmat sobha shaam karon ga jo kahay gi who her kaam karon ga
Meray kaan phir say muntizar hain ek baar phir who lori suna day
Ek arsa hua main soya nahi
Tu apni goud main mujhay sula day
Kaash kabhi aisi duyain na martein
Kaash kisi ki maien na martein

 ~*~ Rose ................. B + A  LOVE ~*~ 

**********************************************************

 ~*~  I LOVE YOU ~*~

Rose is red
My love is best
Grass is green
My love is clean
Sky is blue
My love is true...... always

**********************************************************

 ~*~  TUM BIN  S & B ~*~

" "Tum Bin jiya jaey kaise
kaise jiya jaey tum bin
sadiyon si lambi hein ratein
raton se lambey hue din
aa jao lot kar tum
yeh dil keh raha hai
aa jaooo lot kar tum
phir sham-e-tanhaey jagi
phir yaad tum aa rahe ho
phir jaan nikalney lagi hai
phir mujh ko tarpa rahe ho
aa jaoo lot kar tum
yeh dil keh raha hai
aa jaoo lot kar tum
kya kya na socha hai meine
kya kya na sapne sajaey
kya kya na chaha hai is dil ne
kya kya na armaan jagaey
is dil se tufaan nikaltey hein
tum bin tu jeetey na marte hein
aa jaoo lot kar tum
yeh dil keh raha hai
aa jaoo lot kar tum
tum Bin jiya jaey kaise
kaise jiya jaey tum BIN

**********************************************************

 ~*~  MISS YOU  ~*~

" miss you when the breeze blows
I miss you when the water flows
I miss you when the bird sings
I miss you when the day begins
I miss you when the flowers blooms
I miss you when the garden grooms
I miss you when the rain splatters
I miss you when the sun flatters
I miss you when the moon shines
I miss you when the stars are bright
I miss you when the world asleep
I miss you when the spiders creep
I miss you when my dreams come true
I miss you when the water is like dew
I miss you when my heart beats
I miss you when i breathe
I miss you because i love u my friend And that will be forever till my
life ends

**********************************************************


~*~   AJNABI LARKI ~*~  

"Mujhai Lagta hai Aisa Kabhi Kabhi
Jaisay Woh Ajnabi Larki

Mujh Se Pyaar Kerti Hai
Mujhay Chahati Hai

Aksar Yun Hi Chup Chup Ker
Dekhti Hai Janay Kia Soch Ker

Nazreen Chura Jati Hai
Kuch Ghabra Si Jati Hai

Apnay Aanchal Ko Awaoon Ke Zor Per Lehrati Hai
Mehsos Mujhai Ye Hota Hai Ke

Shayad Mujhai Woh Bohot Chahti Hai
Mujhai Aisa Ehsas Dilati Hai Jesay

Woh Mujh Se Kuch Kehna Chahti Hai
Meray Pochnay Per Kuch Sharma Si Jati Hai

Kuch Ghabra Si Jati Hai
``Suniyee``Keh Kar Bhag Jati Hai

Ajnabi Larki Shayad Pyaar Kerti Hai Mujh Se
Aisa Mehsos Hota Hai JanayKyun Mujhai

Dil Bhi Kitana Pagal Hai
Kia kia Sochta Rehta Hai

Kuch Masoom se Jazbay Hain
Kuch Undekhay Sapne Hain

Magar Woh Nahi Janti Shayad ....!
Meri Zindagi Tu Koi Aur Hai.........!

**********************************************************

  ~*~  AaNSUU  ~*~

"Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do

Buhat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do!

Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do

Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do

Mar gaye auroon kay liye ham faiza ~
Tum apni khatir ham ko Zinda rehney do

           Na usko Pass Bula Saki

na main us ko pass bula saki, na dil ki baat suna saki,
wo hasi hasi main hi chal diya k main haath tak na hila saki
na hai dushmani kisi din se,ab na hai dosti kisi raat se,
hai bacha hi kya jo wo le gaya ,mujhe cheen kar meri zaat se
ye makam hi tha ajeeb sa,k main khud ko na bacha saki,
na main us ko pass bula saki ,na dil ki baat suna saki

ye bhi thek hai wo chala gaya mujhe band rastey par chor kar,
ye bhi thek hai k na aye ga kabhi wo bout Aana ka tor kar
wo juda bhi kaise hua k main koi rasm tak na nibha saki,
na main us ko pass bula saki na dil ki baat suna saki.

x............x............x

HAR LAMHAA TERI YAAD KI KUSHBOO HAI MERAY PASS

Har Lamha Teri Yaad Ki Khushbo Hai Mere Pass
Is Shehir Mei Tanhan Hon Magar Tu Hai Mere Pass

Jis Shakal Ko Chahon Teri Surat Mein Badal Don
Yeh Hussn-e-Tasaver Hai Ke Jadu Hai Mere Pass

Raktha Hai Sada Jo Mere Raaton Ko Moaatar
Wo Tere Badan Ka Gul-e-Khushbo Hai Mere Pass

Kia Muj Ko Pasand Aaen Gay Is Shehir Ke Naghme
Tu Hai Meri Koyaal Teri Koo Koo Hai Mere Pass

Q Tahmonga Mein Janaa Kesi Aur Ki Bahain
Pehne Howe Kangan Tere Baazo Hai Mere Pass

Jab Chahon *Wasi* Us Ke Nagar Tak Muje Le Jaye
Sochoon Tu Chamakta Howa Jognu Hai Mere Pass

x............x............x

 Chahe jaane ki kise hasrat nahi hoti

Magar her kisi ki aisi Qismat nahi hoti
Koi ek hota hai jo sama jaata hai Dil main
Her kisi se to yun hi Mohabbat nahi hoti
Pyaar khareedna hai to khareedo Pyaar se
Yeh jazba hai anmol is ki qeemat nahi hoti
Tum bhool gaye ho to yeh aur baat hai warna
Bhool jaana her kisi ki aadat nahi hoti
Un ko dekhne se jo milta tha Dil ko saroor
Ab kisi ko bhi dekhne se woh raahat nahi hoti

x............x............x
  NADAN 

Hum hastay hain tu unhay lagta hai k humay aadat hai muskuranay ki
Magar woh nadan hain itna bhi nahi samajhtay yeh ada hai ghum chupanay ki
 
x............x............x
  TERE BINA

Tere bina hum jeena bhool jatey hain...
zakhmo ko seena bhool jatey hain...
tou zindagi mai sub se ziada aziz hai...
tujhe se har bar ye kehna bhool jatey hain.

x............x............x
"AGEEB LADRKI

main kyia batyion woh kitni ageeb ladrki hai
meray mazag ki awargi pay marti hai
woh janti hai kay main keh kay na ayionga
woh phir bhi mera intezar karti hai
woh janti hai kay main aksar hi jhoot bolta hon
woh phir bhi mera atebar karti hai
woh janti hai kay woh aik hi nahin meray liay
woh phir bhi srif mugh say hi pyiar karti hai
main kyia batyion woh kitni ageeb ladrki hai
meray mazaj ki awargi pay marti hai

x............x............x
    POETRY TIME

Ek hasi jo hasa de
Ek aansu jo rula de

Ek aarzoo jo jaga de
Ek chahat jo samajh le

Har aahat jo jaan le
Usi rishte kanaam hai.HUM aur TUM..

x............x............x

Dost dil todna hamari aadat nahi,
Dil hum kisi ka dukhate nahi.

Bharosa rakhna meri dosti par,
Dil mein basakar hum kisiko bhulate nahi.

x............x............x

Chot pe chot khaaye hue hain,
Rishtey phir bhi ham nibhaaye hue hain
Zindagi ka yeh imtihaan hi to hai,
Hothon par aaj bhi muskaan laaye hue hain..

x............x............x

Kisi ko Mohabbat ki Sachai Mar Dalegi
.. Kisi Ko Mohabbat ki Gehrai mar dalegi
.. Kar ke Mohabbat koi na Bachega
.. Jo Bach Gaya use Tanhai Mar Dalegi

x............x............x

Dost ko bhulana galat hai,
Unhi ka zindagi bhar saath hai.
Agar bhul gaye to khali haath hai, Aur agar saath rahe to zamana kahega:
x............x............x
 YEH AANSOO

Hanste hue, aankhon main kyun aa jaate hain ye aansoo
yun khushi ko adhoora sa bana jaate hain ye aansoo

Dard itna hai saha, khaali ho gaya samandar ashkon ka
Jaane kahan se aankhon main bhar jaate hain ye aansoo

Khush hoon main, koi shikwa zamane se na taqdeer se
Meri iss baat ko jhoota kyun bana jaate hain ye aansoo

Shayad khabar hai in ko bhi kis qadar tanha hoon main
Tanhaayi main mera saath nibha jaate hain ye aansoo 
x............x............x
  IQRAR-E-WAFA

TumHain Zid Hay K Iqraar-E-Wafa Tumnay Nahi Kerna,
Meri Taqdeeer Main Rung-e-Hina Tumnay Nahi Bherna.
Tumhain Manzoor Hay Shayed Mera Youn Ghut Ghut K Merna.
Tumharay Her Faisley per ab Mera Sir Tasleem-e-Kham Hoga
Main Apnay Hont see lounga
Youn He Bey Kaif jee Lounga
Tumharay hijer Ki Tasveer Ko Dil Main Saja Lounga
Tumharay jabar Ko Apnay saber ko Aazma Lounga,
Haan Meri jaan Main Tera Ab Her Sitam Seh Lounga

Mager Aik Baat Main Pochoun,,,,, ,,?

Tumhain Apni Qasam,,,,,
Tum Sir Per Apnay Hath Rakh K Ye Kehna,.?
Tumharay Dil Main Merey Naam Say Hulchal Nahi Hoti?
Merey Khat Perh Ker Jazbo Main Koi Toofan Nahi Uthta,?
Jawan Ratoun Main Merey Naam Ki Shamaien Nahi Jalti?
Tumhari Dherkanou Mian Kya Meri Soch Nahi pulti?

To Tum Nay kyun Aziyet Ki Rada Than Rakkhi Hai?
Ye Dil Main Than rakkhi Hai""

Bohut Bechain Khud Rehna Mujhay Bhe Berbad Sa Rakhna
bhulana Bhe To Us K Sath Kuch Kuch Yaad Bhe Rakhna
Her Aik Andaaz Say Apnay,
Mujh Per Sitam Sa Rakhna

Ager Is Shouq Say Tumhain Taskeen Milti Hai?
To,,,,,,

Merey Zakhm Ka Tazkira Ab Kum Say Kum Hoga.
Tumharay Her Faislay Per Mer Sir Tasleem=E= Khum Hoga,
x............x............x